Jo thokar khate hain
pravah pa jate hain
bina geet likhe bina geet gaye
ve chal ke lay ,tal aur chhand se parichit ho jate hain
patthhron se takrata hai pani ,patthhar vahin pade rah jate hain
aage badh jata hai thhokar khaya huva pani
jo thhokar khate hai ve pravah pa jate hain
jin patthron se nadi gujari hai
unhone agar milai hogi apani aavaj to ve ret ho chuke honge
kachharon me bagulon ke sang udrahe honge
athhava nadi ke marg se alag pade huye honge
pani sparsh aur usase uthhte sangeet ke liye tadap rahe honge
No comments:
Post a Comment