Friday, 4 November 2011

KAL ka chakr aur lohe ka kasailapan

Jb sapak,sapakpeethh par padata hai kal ka koda To chalte chalte toot jate hain sare ridam bikhar jati hai sari sangati jor jor se bheechta hoon apna jabda ,teesne lagte hain dant aur mai chublata hoon danton me fanse kalkhand ko Nirantar raonde jane ki peeda to sathh chalti sadak sayed janti bhi ho par kal ka yah kaseilapan mujhse adhik aur kaon janta hai abhi doodhke dant bhi nahi toote thhe nadh diya gaya tange se bana diya ghodha naya josh naya unmad kheechne laga vah pairo me ghav na ho jay es liye ,thhonk di gai nal bojh se adhik kast dene lagi keelen ekagrta tootne lagi to dhanp dee gayi ankhe man ke vichlan se chal na bigad jay esliye dal di gayee jabdon me lohe ki valga pairon me nal ,ankhon par dhapna, muh me valga peethh par bojh niyati ban gai en sabhi ki sangati baithha kar fir bhi vah chalana chahta hai char kol ki ant heen kali sadkon par lohe ka kasailapan ghode se adhik kaon janta hai

No comments:

Post a Comment