Thursday 3 November 2011

Jo thokar khate hain

Jo thokar khate hain pravah pa jate hain bina geet likhe bina geet gaye ve chal ke lay ,tal aur chhand se parichit ho jate hain patthhron se takrata hai pani ,patthhar vahin pade rah jate hain aage badh jata hai thhokar khaya huva pani jo thhokar khate hai ve pravah pa jate hain jin patthron se nadi gujari hai unhone agar milai hogi apani aavaj to ve ret ho chuke honge kachharon me bagulon ke sang udrahe honge athhava nadi ke marg se alag pade huye honge pani sparsh aur usase uthhte sangeet ke liye tadap rahe honge

No comments:

Post a Comment